Sufinama

ai rashk-e-qamar aage tere shams-o-qamar kya

Mardan Safi

ai rashk-e-qamar aage tere shams-o-qamar kya

Mardan Safi

MORE BYMardan Safi

    ai rashk-e-qamar aage tire shams-o-qamar kyā

    sau jaañ se fidā huuñ maiñ ye hai jān-o-jigar kyā

    ik aan meñ dete ho jilā ishq ke maare

    in bātoñ se thī īsā-e-mariyam ko ḳhabar kyā

    ġhairat meñ mohabbat meñ muravvat meñ tirā misl

    paayā nahīñ ham ne kahīñ aur hogā bashar kyā

    din-bhar hai tasavvur hai magar raat ko ronā

    karte haiñ miyāñ dekhiye ye dīda-e-tar kyā

    ham tum haiñ dil-o-jāñ se agar ek 'mardāñ'

    kahne ko haiñ vo ek haiñ ham do haiñ magar kyā

    ai rashk-e-qamar aage tere shams-o-qamar kya

    sau jaan se fida hun main ye hai jaan-o-jigar kya

    ek aan mein dete ho jila ishq ke mare

    in baaton se thi isa-e-mariyam ko KHabar kya

    ghairat mein mohabbat mein murawwat mein tera misl

    paya nahin hum ne kahin aur hoga bashar kya

    din-bhar hai tasawwur hai magar raat ko rona

    karte hain miyan dekhiye ye dida-e-tar kya

    hum tum hain dil-o-jaan se agar ek hi 'mardan'

    kahne ko hain wo ek hain hum do hain magar kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now