ai sham-e-wafa tere parwane hazaron hain
ai sham-e-vafā tere parvāne hazāroñ haiñ
ik maiñ hī nahīñ tanhā dīvāne hazāroñ haiñ
bahkeñge bhalā kyā ham ik jaam meñ ai saaqī
piinā tirī āñkhoñ se paimāne hazāroñ haiñ
tū husn-e-mujassam hai tū ishq-e-mukammal hai
pinhāñ tirī āñkhoñ meñ afsāne hazāroñ haiñ
kyā jādū-bharī terī nazreñ haiñ jidhar dekho
raqsāñ tirī mahfil meñ mastāne hazāroñ haiñ
ik dar hai dar-e-jānāñ baaqī hai jahāñ dhoka
hai ek hī ka.aba to but-ḳhāne hazāroñ haiñ
samjhe jo mohabbat ko farzāna kahāñ aisā
kahne ko ai 'kāvish' farzāne hazāroñ haiñ
ai sham-e-wafa tere parwane hazaron hain
ek main hi nahin tanha diwane hazaron hain
bahkenge bhala kya hum ek jam mein ai saqi
pina teri aankhon se paimane hazaron hain
tu husn-e-mujassam hai tu ishq-e-mukammal hai
pinhan teri aankhon mein afsane hazaron hain
kya jadu-bhari teri nazren hain jidhar dekho
raqsan teri mahfil mein mastane hazaron hain
ek dar hai dar-e-jaanan baqi hai jahan dhoka
hai ek hi kaba to but-KHane hazaron hain
samjhe jo mohabbat ko farzana kahan aisa
kahne ko ai 'kawish' farzane hazaron hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.