aise to inqilab jahan mein hazar hain
aise to inqilāb jahāñ meñ hazār haiñ
kal jo nagīñ the aaj vo lauh-e-mazār haiñ
nargis ke phuul rū-e-zamīñ par nahīñ haiñ yaar
āñkhoñ se dekh dīda-e-pur-intizār haiñ
shams-o-qamar par hai raqam ahvāl-e-raftagāñ
sardāba-e-jahāñ pe ye lauh-e-mazār haiñ
fasl-e-bahār ne ye machā.ī hai ab kī dhuum
le gul se merī jeb talak taar taar haiñ
ye 'ishq un butoñ kā to do-chār din kā hai
'āshiq jo haiñ ḳhudā ke vahī pā.edār haiñ
tū 'ishq' ek gul se bhī sar bar na ho sakā
bulbul kā dil-sarahiye jis ke hazār haiñ
aise to inqilab jahan mein hazar hain
kal jo nagin the aaj wo lauh-e-mazar hain
nargis ke phul ru-e-zamin par nahin hain yar
aankhon se dekh dida-e-pur-intizar hain
shams-o-qamar par hai raqam ahwal-e-raftagan
sardaba-e-jahan pe ye lauh-e-mazar hain
fasl-e-bahaar ne ye machai hai ab ki dhum
le gul se meri jeb talak tar tar hain
ye 'ishq un buton ka to do-chaar din ka hai
'ashiq jo hain KHuda ke wahi paedar hain
tu 'ishq' ek gul se bhi sar bar na ho saka
bulbul ka dil-sarahiye jis ke hazar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.