aisi koi sham na aae
aisī koī shaam na aa.e
sāmne mere jaam na aa.e
yārab vo hañgām na aa.e
terā lab par naam na aa.e
qatl kī jab taftīsh ho mere
kaash tumhārā naam na aa.e
mai-ḳhāne kā hashr ho kuchh bhī
rindoñ par ilzām na aa.e
jab tak vo tashrīf na laa.eñ
maut kā bhī paiġhām na aa.e
kūcha-e-jānāñ kuchh bhī hai lekin
ham to kabhī nākām na aa.e
chāra-garo tashḳhīs bajā hai
aur agar ārām na aa.e
umr pas-e-dīvār guzārī
vo bālā-e-bām na aa.e
tum to 'azīz' mai-ḳhāna ho
kaise tum tak jaam na aa.e
aisi koi sham na aae
samne mere jam na aae
yarab wo hangam na aae
tera lab par nam na aae
qatl ki jab taftish ho mere
kash tumhaara nam na aae
mai-KHane ka hashr ho kuchh bhi
rindon par ilzam na aae
jab tak wo tashrif na laen
maut ka bhi paigham na aae
kucha-e-jaanan kuchh bhi hai lekin
hum to kabhi nakaam na aae
chaara-garo tashKHis baja hai
aur agar aaram na aae
umr pas-e-diwar guzari
wo baala-e-baam na aae
tum to 'aziz' mai-KHana ho
kaise tum tak jam na aae
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 115)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.