aisi nahin hoti kisi ranjur ki surat
aisī nahīñ hotī kisī ranjūr kī sūrat
furqat meñ jo hai āshiq-e-mahjūr kī sūrat
Tāñke mere phir TuuT ga.e zaḳhm-e-jigar ke
phir bahne lage aañkh se nāsūr kī sūrat
allāh-re tārīkī-e-ḳhurshīd-e-judā.ī
hai sub.h meñ apnī shab-e-daijūr kī sūrat
ham auroñ se mil jā.eñge ham se na mile vah
kis but meñ nahīñ us but-e-maġhrūr kī sūrat
kyā pariyoñ ke jhurmuT meñ bhalā baiThiye jā kar
āñkhoñ meñ phirā kartī hai us huur kī sūrat
jo aañkh hai mastī meñ vah ek sāġhar-e-mai hai
dekhe to koī sāqī-e-maḳhmūr kī sūrat
māthā hai qamar āriz-e-pur-nūr hai vashshams
paa.ī hai mere yaar ne kyā nuur kī sūrat
aisi nahin hoti kisi ranjur ki surat
furqat mein jo hai aashiq-e-mahjur ki surat
Tanke mere phir TuT gae zaKHm-e-jigar ke
phir bahne lage aankh se nasur ki surat
allah-re tariki-e-KHurshid-e-judai
hai subh mein apnī shab-e-daijur ki surat
hum auron se mil jaenge hum se na mile wah
kis but mein nahin us but-e-maghrur ki surat
kya pariyon ke jhurmuT mein bhala baiThiye ja kar
aankhon mein phira karti hai us hur ki surat
jo aankh hai masti mein wah ek saghar-e-mai hai
dekhe to koi saqi-e-maKHmur ki surat
matha hai qamar aariz-e-pur-nur hai washshams
pai hai mere yar ne kya nur ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.