ajab ki yaad mein wo zulf-e-mushk sa na rahe
ajab ki yaad meñ vo zulf-e-mushk sā na rahe
ye kaun sar hai ki jis sar meñ ye havā na rahe
bajā-e-shama jo sāqī-o-dilrubā na rahe
yaqīn ki mahfil-e-mastoñ meñ kuchh safā na rahe
ḳhudā kare ki kahīñ us kā kuchh nishāñ na rahe
jo us ke dar pe kare sajda vo gadā na rahe
kahāñ hai ruuh meñ ushshāq kī nishān-e-qarār
ki dasht-e-rīk-ravāñ beach naqsh-e-pā na rahe
na hue ishq meñ kab chāk-e-jaib-o-dāman-e-sabr
badan meñ barq kī jyuuñ abr kī qabā na rahe
firāq-e-yār meñ kis jā khile dil-e-āshiq
jūnhīñ bādiya meñ aah kuchh qazā na rahe
nasīm-e-kākul-e-mushkīñ suuñ gar vahāñ pahuñche
kabhī bhī dasht meñ phir āhū-e- ḳhatā na rahe
jo āh-e-sard merī vaañ talak kabhī pahuñche
chaman meñ sub.h ke ta.iiñ juñbish-e-sabā na rahe
jo rāst-bāz haiñ is daur meñ raheñ uryāñ
badan meñ sarv ke hargiz kabhī qabā na rahe
ye rāh-e-ishq hai be-rāstī ke tai na hue
gire hai kor agar haath meñ asā na rahe
jise shu.ūr hai kuchh bhī vo is qadar jaane
qazā hai kuchh bhī agar bañda-e-razā na rahe
ye bādiya moñ mohabbat ke be-dalīl na jā
ki kārvāñ ko ḳhatar hai jo rahnumā na rahe
ḳhatar hai bahre-ḳhird meñ agar na hue junūñ
jahāz ġharq ho gar us meñ nā-ḳhudā na rahe
firāq-e-yār meñ āshiq kā dil khile kis jā
jo sahn-e-gulshan-e-fidaus meñ fazā na rahe
davām-e-vasl mayassar ho kis ke ta.iiñ ai dil
hamesha kaah ke hamrāh kahrubā na rahe
kahāñ zamīñ pe gire jo buland himmat ho
ki shāḳh-e-naḳhl pe hargiz kabhī humā na rahe
ajab ki yaad mein wo zulf-e-mushk sa na rahe
ye kaun sar hai ki jis sar mein ye hawa na rahe
baja-e-shama jo saqi-o-dilruba na rahe
yaqin ki mahfil-e-maston mein kuchh safa na rahe
KHuda kare ki kahin us ka kuchh nishan na rahe
jo us ke dar pe kare sajda wo gada na rahe
kahan hai ruh mein ushshaq ki nishan-e-qarar
ki dasht-e-rik-rawan beach naqsh-e-pa na rahe
na hue ishq mein kab chaak-e-jaib-o-daman-e-sabr
badan mein barq ki jyun abr ki qaba na rahe
firaq-e-yar mein kis ja khile dil-e-ashiq
junhin baadiya mein aah kuchh qaza na rahe
nasim-e-kakul-e-mushkin sun gar wahan pahunche
kabhi bhi dasht mein phir aahu-e- KHata na rahe
jo aah-e-sard meri wan talak kabhi pahunche
chaman mein subh ke tain junbish-e-saba na rahe
jo rast-baz hain is daur mein rahen uryan
badan mein sarw ke hargiz kabhi qaba na rahe
ye rah-e-ishq hai be-rasti ke tai na hue
gire hai kor agar hath mein asa na rahe
jise shuur hai kuchh bhi wo is qadar jaane
qaza hai kuchh bhi agar banda-e-raza na rahe
ye baadiya mon mohabbat ke be-dalil na ja
ki karwan ko KHatar hai jo rahnuma na rahe
KHatar hai bahre-KHird mein agar na hue junun
jahaz gharq ho gar us mein na-KHuda na rahe
firaq-e-yar mein aashiq ka dil khile kis ja
jo sahn-e-gulshan-e-fidaus mein faza na rahe
dawam-e-wasl mayassar ho kis ke tain ai dil
hamesha kah ke hamrah kahruba na rahe
kahan zamin pe gire jo buland himmat ho
ki shaKH-e-naKHl pe hargiz kabhi huma na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.