ye bhi nazar ka dhoka hai ya kar-e-nazar hai kya malum
ye bhi nazar ka dhoka hai ya kar-e-nazar hai kya malum
Akhtar Aligarhi
MORE BYAkhtar Aligarhi
ye bhī nazar kā dhokā hai yā kār-e-nazar hai kyā ma.alūm
sat.h pe zarre raqsāñ haiñ yā mauj-e-guhar hai kyā ma.alūm
kaun na jaane mahv-e-sitam hai nā-haq shikva kyuuñ kījiye
charḳh hai yā is parde meñ vo arbada-gar hai kyā ma.alūm
vo bhī haiñ kuchh kho.e hue se jin ko vāqif kahte haiñ
hastī ke asrār-e-nihāñ kī kis ko ḳhabar hai kyā ma.alūm
rātoñ ko uTh uTh kar hamdam ik muddat se rotā huuñ
merī āh-e-nīm-shabī meñ kaisā asar hai kyā ma.alūm
hastī kā hañgāma bapā hai saañs ke aane jaane par
a.alam-e-zabt-o-tamkīñ hai yā raqs-e-sharar hai kyā ma.alūm
dīvāne to dīvāne haiñ in ko apnā hosh kahāñ
aql pe jin ko naaz hai utnā un ko magar hai kyā ma.alūm
hijr kī shab tūfān-e-hujūm ashk meñ itnā hosh kahāñ
siine meñ hai qalb ki sirf dīda-e-tar hai kyā ma.alūm
ham ne to ro kar hī guzārīñ ghaḌiyāñ umr-e-fānī kī
hogā paas dard-o-mohabbat un ko agar hai kyā ma.alūm
muddat guzrī 'aḳhtar' kī paa.ī na kisī se koī ḳhabar
mar gayā vo nāshād ki ab tak ḳhāk-basar hai kyā ma.alūm
ye bhi nazar ka dhoka hai ya kar-e-nazar hai kya malum
sath pe zarre raqsan hain ya mauj-e-guhar hai kya malum
kaun na jaane mahw-e-sitam hai na-haq shikwa kyun kijiye
charKH hai ya is parde mein wo arbada-gar hai kya malum
wo bhi hain kuchh khoe hue se jin ko waqif kahte hain
hasti ke asrar-e-nihan ki kis ko KHabar hai kya malum
raaton ko uTh uTh kar hamdam ek muddat se rota hun
meri aah-e-nim-shabi mein kaisa asar hai kya malum
hasti ka hangama bapa hai sans ke aane jaane par
aalam-e-zabt-o-tamkin hai ya raqs-e-sharar hai kya malum
diwane to diwane hain in ko apna hosh kahan
aql pe jin ko naz hai utna un ko magar hai kya malum
hijr ki shab tufan-e-hujum ashk mein itna hosh kahan
sine mein hai qalb ki sirf dida-e-tar hai kya malum
hum ne to ro kar hi guzarin ghaDiyan umr-e-fani ki
hoga pas dard-o-mohabbat un ko agar hai kya malum
muddat guzri 'aKHtar' ki pai na kisi se koi KHabar
mar gaya wo nashad ki ab tak KHak-basar hai kya malum
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 25)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.