zamīñ tai kar ke guzrā āsmāñ se
kahāñ insān pahuñchā hai kahāñ se
ham uTheñ kyā dar-e-pīr-e-muġhāñ se
nahii. haTtīñ ghaTā.eñ āsmāñ se
ye charḳh-e-pīr kuchh vāqif nahii. hai
javānī kā maza pūchho javāñ se
chhupī hai abr meñ Dar Dar ke bijlī
hamāre nāla-e-ātish-fashāñ se
asīrī kā maza ye kah rahā hai
qafas meñ uḌ ke pahuñchūñ āshiyāñ se
sitam ab mujh pe du-gune ho rahe haiñ
zamīñ kyā mil ga.ī hai āsmāñ se
zamin tai kar ke guzra aasman se
kahan insan pahuncha hai kahan se
hum uThen kya dar-e-pir-e-mughan se
nahi haTtin ghaTaen aasman se
ye charKH-e-pir kuchh waqif nahi hai
jawani ka maza puchho jawan se
chhupi hai abr mein Dar Dar ke bijli
hamare nala-e-atish-fashan se
asiri ka maza ye kah raha hai
qafas mein uD ke pahunchun aashiyan se
sitam ab mujh pe du-gune ho rahe hain
zamin kya mil gai hai aasman se
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 33)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.