sabr kar vaa.iz nādāñ abhī jaldī kyā hai
ka.abe bhī jā.eñge uTheñge jo mai-ḳhāne se
jalva-gar hai kaun kis kī jalva-farmā.ī huī
dekh kar hairat-zada chashm-e-tamannā.ī huī
ā.īna hai sāmne jis vaqt tanhā.ī huī
ye zamāna se na.ī tarz-e-ḳhud-ārā.ī huī
hashr meñ fariyād hotī hai ye kis ke zulm kī
dāvar-e-mahshar ye kis kī aaj rusvā.ī huī
is tamannā kī tamannā mere dil meñ kyuuñ na ho
jis tamannā kī tamannā bhī tamannā.ī huī
muntazir ham haiñ qiyāmat aaj uThtī hai na kal
hai kisī kī Thokaroñ kī vo bhī Thukrā.ī huī
sajda-e-dair-o-haram maqbūl hoñge yā nahīñ
is taraf bhī us taraf bhī nāsiya-sā.ī huī
hazrat-e-'aḳhtar' kahāñ chal dī vo tauba aap kī
shuġhl mai-noshī huā phir bāda-paimā.ī huī
sabr kar waiz nadan abhi jaldi kya hai
kabe bhi jaenge uThenge jo mai-KHane se
jalwa-gar hai kaun kis ki jalwa-farmai hui
dekh kar hairat-zada chashm-e-tamannai hui
aaina hai samne jis waqt tanhai hui
ye zamana se nai tarz-e-KHud-arai hui
hashr mein fariyaad hoti hai ye kis ke zulm ki
dawar-e-mahshar ye kis ki aaj ruswai hui
is tamanna ki tamanna mere dil mein kyun na ho
jis tamanna ki tamanna bhi tamannai hui
muntazir hum hain qiyamat aaj uThti hai na kal
hai kisi ki Thokaron ki wo bhi Thukrai hui
sajda-e-dair-o-haram maqbul honge ya nahin
is taraf bhi us taraf bhi nasiya-sai hui
hazrat-e-'aKHtar' kahan chal di wo tauba aap ki
shughl mai-noshi hua phir baada-paimai hui
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 33)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.