be-niyāzī se kisī kī shauq-e-paiham dil meñ hai
kis kashākash meñ paḌā huuñ jaan kis mushkil meñ hai
kyuuñ jalāte ho mujhe tum ab to jalne ke liye
sham.a bhī mahfil meñ hai parvāna bhī mahfil meñ hai
ek din vo thā tamannā se huā dam naak meñ
ek ye din hai tamannā kī tamannā dil meñ hai
kuchh hai pechīda bhī rāh-e-shauq rahrav ke liye
kuchh muqaddar kī kajī bhī jāda-e-manzil meñ hai
vāqafiyyat hai to kah do saaf mere dil kī baat
varna maiñ tum ko batā duuñ kyā tumhāre dil meñ hai
kyā pahuñchtā do-qadam kī manzil-e-maqsūd par
rah-ravoñ ko lutf hāsil dūrī-e-manzil meñ hai
milte haiñ 'aḳhtar' se ḳhud hī māh-vash zohra-jabīñ
ye karāmat kyā na.ī us murshid-e-kāmil meñ hai
be-niyazi se kisi ki shauq-e-paiham dil mein hai
kis kashakash mein paDa hun jaan kis mushkil mein hai
kyun jalate ho mujhe tum ab to jalne ke liye
shama bhi mahfil mein hai parwana bhi mahfil mein hai
ek din wo tha tamanna se hua dam nak mein
ek ye din hai tamanna ki tamanna dil mein hai
kuchh hai pechida bhi rah-e-shauq rahraw ke liye
kuchh muqaddar ki kaji bhi jada-e-manzil mein hai
waqafiyyat hai to kah do saf mere dil ki baat
warna main tum ko bata dun kya tumhaare dil mein hai
kya pahunchta do-qadam ki manzil-e-maqsud par
rah-rawon ko lutf hasil duri-e-manzil mein hai
milte hain 'aKHtar' se KHud hi mah-wash zohra-jabin
ye karamat kya nai us murshid-e-kaamil mein hai
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 34)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.