pī chuke haiñ le ke chashm-e-yār se paimāna ham
thāmnā lenā gire ai laġhzish-e-mastāna ham
hasb-e-mauqa jānte haiñ masraf-e-mai-kHān ham
shīsha jab TuuTā banāte haiñ use paimāna ham
josh-e-vahshat vahshiyoñ ko ho to sunvā.eñ tumheñ
chāk-e-dāman se sadā-e-nā'ra-e-mastāna ham
sar-guzisht-e-ishq apnī hai jahāñ meñ yād-gār
ahl-e-a.alam kī zabāñ par ban ga.e afsāna ham
is taraf zarf-e-vazū hai us taraf jām-e-subū
jaa.eñ masjid ko ilāhī yā suu.ye mai-ḳhāna ham
paaye maalī se zamāne ke na yuuñ bhī bach sake
haiñ alag sab se misāl-e-sabza-e-be-gāna ham
de diyā dil ho gayā ahd-e-vafā jhagḌā chukā
aap is meñ ab kareñ kuchh hujjat-e-bejā na ham
kuchh hai yārāñ tarīqat ko ḳhabar bhī yā nahīñ
kar chuke haiñ tark 'aḳhtar' mashrab-e-rindāna ham
pi chuke hain le ke chashm-e-yar se paimana hum
thamna lena gire ai laghzish-e-mastana hum
hasb-e-mauqa jaante hain masraf-e-mai-kHan hum
shisha jab TuTa banate hain use paimana hum
josh-e-wahshat wahshiyon ko ho to sunwaen tumhein
chaak-e-daman se sada-e-na'ra-e-mastana hum
sar-guzisht-e-ishq apni hai jahan mein yaad-gar
ahl-e-alam ki zaban par ban gae afsana hum
is taraf zarf-e-wazu hai us taraf jam-e-subu
jaen masjid ko ilahi ya suye mai-KHana hum
paye mali se zamane ke na yun bhi bach sake
hain alag sab se misal-e-sabza-e-be-gana hum
de diya dil ho gaya ahd-e-wafa jhagDa chuka
aap is mein ab karen kuchh hujjat-e-beja na hum
kuchh hai yaran tariqat ko KHabar bhi ya nahin
kar chuke hain tark 'aKHtar' mashrab-e-rindana hum
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 34)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.