Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

us tilism-e-dahar mein hain surat-e-diwana hum

Akhtar Naginvi

us tilism-e-dahar mein hain surat-e-diwana hum

Akhtar Naginvi

MORE BYAkhtar Naginvi

    us tilism-e-dahar meñ haiñ sūrat-e-dīvāna ham

    ho ga.e sirf talāsh-e-vus.at-e-vīrāna ham

    haiñ sharīk-e-bazm va.az-o-mahfil-e-rindāna ham

    zīnat-e-masjid hamīñ haiñ raunaq-e-mai-kHāna ham

    yādgār-e-vārdāt soz-e-ulfat jaan kar

    rakhte haiñ chun chun ke aurāq par parvāna ham

    ik zarā baat kahte haiñ hazāroñ rañg se

    yuuñ banā dete haiñ har afsāne ko afsāna ham

    hādsāt-e-ālam-e-imkāñ ho ehsās kyā

    haiñ ḳhumār-e-zindagī se be-ḳhabar mastāna ham

    haañ jalā.e hameñ sham.a-e-tajallī shauq se

    bazm meñ hamrāh laate haiñ dil parvāna ham

    har qadam kaif nigāh-e-mast se jhuk jhuk gayā

    siikh liiñ pā-e-mizzha se laġhzish-e-mastāna ham

    hone vaalī haiñ ba-qadr-e-zarf mai-āshāmiyāñ

    kar liiñ sa.ī vusat-o-gunjā.ish-e-paimāna ham

    shab ko thā mahfil meñ kitnā majma.a ahl-e-vafā

    sub.h ko paate haiñ ambār par parvāna ham

    baiTh sakte haiñ kahīñ thak kar rah-e-dushvār meñ

    himmat-e-mardāna ham ai himmat-e-mardāna ham

    is se baḌh kar chāhte kyā rif'at-e-kāshāna ham

    naam 'aḳhtar' hai rahā karte haiñ bālā-e-falak

    is se baḌh kar chāhte kyā rif'at-e-kāshāna ham

    us tilism-e-dahar mein hain surat-e-diwana hum

    ho gae sirf talash-e-wusat-e-virana hum

    hain sharik-e-bazm waz-o-mahfil-e-rindana hum

    zinat-e-masjid hamin hain raunaq-e-mai-kHana hum

    yaadgar-e-wardat soz-e-ulfat jaan kar

    rakhte hain chun chun ke auraq par parwana hum

    ek zara si baat kahte hain hazaron rang se

    yun bana dete hain har afsane ko afsana hum

    hadsat-e-alam-e-imkan ka ho ehsas kya

    hain KHumar-e-zindagi se be-KHabar mastana hum

    han jalae ja hamein shama-e-tajalli shauq se

    bazm mein hamrah late hain dil parwana hum

    har qadam kaif nigah-e-mast se jhuk jhuk gaya

    sikh lin pa-e-mizzha se laghzish-e-mastana hum

    hone wali hain ba-qadr-e-zarf mai-ashamiyan

    kar lin sai wusat-o-gunjaish-e-paimana hum

    shab ko tha mahfil mein kitna majma ahl-e-wafa

    subh ko pate hain ambar par parwana hum

    baiTh sakte hain kahin thak kar rah-e-dushwar mein

    himmat-e-mardana hum ai himmat-e-mardana hum

    is se baDh kar chahte kya rif'at-e-kashana hum

    nam 'aKHtar' hai raha karte hain baala-e-falak

    is se baDh kar chahte kya rif'at-e-kashana hum

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 33)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now