chain se rahne na de ga iztirab-e-dil mujhe
chain se rahne na de gā iztirāb-e-dil mujhe
varna furqat meñ bhī jī lenā na thā mushkil mujhe
be-niyāz rāh-e-manzil huuñ merī manzil na pūchh
DhūñDhtī phirtī hai har har gaam par manzil mujhe
al-madad josh-e-junūñ valhazar-dām-e-ḳhirad
ab nazar aatī hai har mauj-e-fanā sāhil mujhe
ik nigāh-e-vāpsīñ ne toḌ hī Daalā fareb
ek mashiyyat par samajhtā thā faqat qātil mujhe
tere us ġham ke tasadduq terī iizā ke nisār
tuune ġham de kar banāyā jauhar-e-qābil mujhe
merī izzat varna bairūn-e-chaman kyā thī nasīb
jo hui sadqe meñ us gul ke huī hāsal mujhe
nāzāñ hoñ aaj apne muqaddar pe kyuuñ na ham
phir dekhne lage haiñ jafā kī nazar se aap
un kī bhī chashm-e-nāz se aañsū nikal paḌe
kyuuñ chheḌ dī kasī ne mirī chashm-e-nam kī baat
chain se rahne na de ga iztirab-e-dil mujhe
warna furqat mein bhi ji lena na tha mushkil mujhe
be-niyaz rah-e-manzil hun meri manzil na puchh
DhunDhti phirti hai har har gam par manzil mujhe
al-madad josh-e-junun walhazar-dam-e-KHirad
ab nazar aati hai har mauj-e-fana sahil mujhe
ek nigah-e-wapsin ne toD hi Dala fareb
ek mashiyyat par samajhta tha faqat qatil mujhe
tere us gham ke tasadduq teri iza ke nisar
tune gham de kar banaya jauhar-e-qabil mujhe
meri izzat warna bairun-e-chaman kya thi nasib
jo hui sadqe mein us gul ke hui hasal mujhe
nazan hon aaj apne muqaddar pe kyun na hum
phir dekhne lage hain jafa ki nazar se aap
un ki bhi chashm-e-naz se aansu nikal paDe
kyun chheD di kasi ne meri chashm-e-nam ki baat
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 68)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.