chunin hairat-zada hastam jahan kaisa makan kaisa

chunin hairat-zada hastam jahan kaisa makan kaisa
Akif Hussain Shahwali
MORE BYAkif Hussain Shahwali
chunīñ hairat-zada hastam jahāñ kaisā makāñ kaisā
ki misl-e-ātish-e-sozāñ mirā soz-e-nihāñ kaisā
na ḳhāk-e-āstāñ huuñ maiñ na gardūñ kā makīñ Thahrā
rahūñ parvāz meñ har dam ye merā āshiyāñ kaisā
agar faanī huuñ maiñ phir kyuuñ ye hañgāma bapā har sū
vagar baaqī huuñ phir ye shor faanī kā bayāñ kaisā
ḳhayāl-o-vahm ke nāzuk gumāñ meñ Dūbtā huuñ maiñ
ki maiñ hastam nahīñ hastam ye merā imtihāñ kaisā
ba-sad hasrat sitam-gāh-e-zamāna dekhtā huuñ maiñ
ki har jānib fareb-e-ārzū hai ye samāñ kaisā
gumāñ kī talḳhiyāñ lekar yaqīñ ke dar pe aayā huuñ
nahīñ jo kuchh nazar aatā ye merā āsmāñ kaisā
tamannā kī tapish meñ bhī na ThanDī ho sakī hastī
ye ātish meñ jalā dil aur phir bhī be-dhuāñ kaisā
jahāñ nāzāñ hai hastī par ye hastī hai fareb āḳhir
kamāl-e-bandagī ‘naushā’ 'adam meñ hai nihāñ kaisā
chunin hairat-zada hastam jahan kaisa makan kaisa
ki misl-e-atish-e-sozan mera soz-e-nihan kaisa
na KHak-e-astan hun main na gardun ka makin Thahra
rahun parwaz mein har dam ye mera aashiyan kaisa
agar fani hun main phir kyun ye hangama bapa har su
wagar baqi hun phir ye shor fani ka bayan kaisa
KHayal-o-wahm ke nazuk guman mein Dubta hun main
ki main hastam nahin hastam ye mera imtihan kaisa
ba-sad hasrat sitam-gah-e-zamana dekhta hun main
ki har jaanib fareb-e-arzu hai ye saman kaisa
guman ki talKHiyan lekar yaqin ke dar pe aaya hun
nahin jo kuchh nazar aata ye mera aasman kaisa
tamanna ki tapish mein bhi na ThanDi ho saki hasti
ye aatish mein jala dil aur phir bhi be-dhuan kaisa
jahan nazan hai hasti par ye hasti hai fareb aaKHir
kamal-e-bandagi ‘nausha’ 'adam mein hai nihan kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.