Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye bazm-e-’ishq-e-haq hai hairan shud ast ma ra

Akif Hussain Shahwali

ye bazm-e-’ishq-e-haq hai hairan shud ast ma ra

Akif Hussain Shahwali

MORE BYAkif Hussain Shahwali

    ye bazm-e-’ishq-e-haq hai hairāñ shud ast

    har zarra dīda-e-nūr afshāñ shud ast

    har mauj bahr-e-furqat tūfāñ shud ast

    har ashk soz-e-dil meñ marjāñ shud ast

    har naqsh-e-kā.ināt ab be-rañg-o-be- safā hai

    bas jalva-e-jamālī 'unvāñ shud ast

    sajde meñ gir paḌe ham nazzāra-e-haram par

    patthar bhī ḳhaak ho kar darbāñ shud ast

    har saañs meñ tajallī har zaḳhm meñ tabassum

    dasht-e-junūñ bhī jaise bustāñ shud ast

    mai-kHāna-e-haqīqat meñ jo sabūh hai

    ik qatra jām-e-vahdat tūfāñ shud ast

    ab chāh-e-nīlgūñ meñ ummīd qabā kyā

    zanjīr bhī shikasta zindāñ shud ast

    dil ke ḳharāb ḳhāne meñ shame’n jal uThī haiñ

    vīrāniyāñ bhī rañgīñ aivāñ shud ast

    har rahguzar pe paayā ḳhushbū tirī vafā

    ab sañg bhī machal kar gul-dāñ shud ast

    har dāġh-e-dil ke badle ik zaḳhm-e-nau milā hai

    ab ḳhūn-e-dil bhī āḳhir darmāñ shud ast

    ‘naushā’ junūñ manzil dushvār kab rahī hai

    har kHaar rāh-e-ulfat bustāñ shud ast

    ye bazm-e-’ishq-e-haq hai hairan shud ast ma ra

    har zarra dida-e-nur afshan shud ast ma ra

    har mauj bahr-e-furqat tufan shud ast ma ra

    har ashk soz-e-dil mein marjaan shud ast ma ra

    har naqsh-e-kainat ab be-rang-o-be- safa hai

    bas jalwa-e-jamali 'unwan shud ast ma ra

    sajde mein gir paDe hum nazzara-e-haram par

    patthar bhi KHak ho kar darban shud ast ma ra

    har sans mein tajalli har zaKHm mein tabassum

    dasht-e-junun bhi jaise bustan shud ast ma ra

    mai-kHana-e-haqiqat mein jo sabuh pi hai

    ek qatra jam-e-wahdat tufan shud ast ma ra

    ab chah-e-nilgun mein ummid ki qaba kya

    zanjir bhi shikasta zindan shud ast ma ra

    dil ke KHarab KHane mein shame’n jal uThi hain

    viraniyan bhi rangin aiwan shud ast ma ra

    har rahguzar pe paya KHushbu teri wafa ki

    ab sang bhi machal kar gul-dan shud ast ma ra

    har dagh-e-dil ke badle ek zaKHm-e-nau mila hai

    ab KHun-e-dil bhi aaKHir darman shud ast ma ra

    ‘nausha’ junun ki manzil dushwar kab rahi hai

    har kHar rah-e-ulfat bustan shud ast ma ra

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now