aks-e-ruKH-e-nigar hai jam-e-sharab mein
aks-e-ruḳh-e-nigār hai jām-e-sharāb meñ
hai āftāb jalva-numā āftāb meñ
kuchh to kamī ho roz-e-jazā ke azaab meñ
ab mai piyā kareñge milā kar gulāb meñ
mujh se na ab haqīqat-e-ta.abīr pūchhiye
vasl-e-sanam ke naqsh nazar aa.e ḳhvāb meñ
un kī bisāt-e-husn ne pāñsa palaT diyā
ḳhurshīd-o-mah ko maat milī āb-o-tāb meñ
kab tak tah-e-naqāb rahegī hayā-o-sharm
kab tak rahegā māh-o-hafta sahāb meñ
ruḳhsār-e-chashm-e-yār kī tasvīr dekhnā
nargis ke phuul bāñdh diye haiñ gulāb meñ
hai bostān-e-umr meñ do-roz kī bahār
duniyā ke imbisāt ko dekhā hai ḳhvāb meñ
jaltā huuñ maiñ bhī ahl-e-jahannam bhī haañ magar
vo kam haiñ aur maiñ huuñ ziyāda azaab meñ
'aḳhtar' ye pā-e-nāz par ab tak jhukā rahā
lekin ye sar ab jhuk gayā terī janāb meñ
aks-e-ruKH-e-nigar hai jam-e-sharab mein
hai aaftab jalwa-numa aaftab mein
kuchh to kami ho roz-e-jaza ke azab mein
ab mai piya karenge mila kar gulab mein
mujh se na ab haqiqat-e-tabir puchhiye
wasl-e-sanam ke naqsh nazar aae KHwab mein
un ki bisat-e-husn ne pansa palaT diya
KHurshid-o-mah ko mat mili aab-o-tab mein
kab tak tah-e-naqab rahegi haya-o-sharm
kab tak rahega mah-o-hafta sahab mein
ruKHsar-e-chashm-e-yar ki taswir dekhna
nargis ke phul bandh diye hain gulab mein
hai bostan-e-umr mein do-roz ki bahaar
duniya ke imbisat ko dekha hai KHwab mein
jalta hun main bhi ahl-e-jahannam bhi han magar
wo kam hain aur main hun ziyaada azab mein
'aKHtar' ye pa-e-naz par ab tak jhuka raha
lekin ye sar ab jhuk gaya teri janab mein
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 161)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.