dil un ka dil main dard un ka phir dard ka darman kyun kijiye

dil un ka dil main dard un ka phir dard ka darman kyun kijiye
Ali Hussain Aabad
MORE BYAli Hussain Aabad
dil un kā dil maiñ dard un kā phir dard kā darmāñ kyuuñ kījiye
ye rāz-e-mohabbat raaz rahe ashkoñ se numāyāñ kyuuñ kījiye
ghar apne bulā kar mehmāñ ko mahjūb-o-pashemāñ kyuuñ kījiye
jab dil meñ nahīñ ik qatra-e-ḳhūñ phir dā’vat-e-paikāñ kyuuñ kījiye
taklīf-e-nasheman zer-e-falak phir bulbul-e-nālāñ kyuuñ kījiye
har barq ko dā'vat kyuuñ dījiye har shāḳh ko larzāñ kyuuñ kījiye
hai tuur vahī jalve bhī vahī ai tālib-e-jalva hosh meñ aa
jab vādī-e-aiman dil hī nahīñ jalvoñ ko pareshāñ kyuuñ kījiye
rahbar bhī vahī manzil bhī vahī kashtī bhī vahī sāhil bhī vahī
phir bahr-e-jahāñ meñ fikr-e-talātum yā ġham-e-tūfāñ kyuuñ kījiye
faizān-e-tasavvur kahiye use mahjūr kabhī mahjūr nahīñ
hai shakl jab un kī pesh-e-nazar phir shikva-e-hijrāñ kyuuñ kījiye
us gul kī bazm-afrozī par us mah pe nichhāvar hone ko
jab taare falak se TuuT paḌeñ ābād charāġhāñ kyuuñ kījiye
dil un ka dil main dard un ka phir dard ka darman kyun kijiye
ye raaz-e-mohabbat raaz rahe ashkon se numayan kyun kijiye
ghar apne bula kar mehman ko mahjub-o-pasheman kyun kijiye
jab dil mein nahin ek qatra-e-KHun phir da’wat-e-paikan kyun kijiye
taklif-e-nasheman zer-e-falak phir bulbul-e-nalan kyun kijiye
har barq ko da'wat kyun dijiye har shaKH ko larzan kyun kijiye
hai tur wahi jalwe bhi wahi ai talib-e-jalwa hosh mein aa
jab wadi-e-aiman dil hi nahin jalwon ko pareshan kyun kijiye
rahbar bhi wahi manzil bhi wahi kashti bhi wahi sahil bhi wahi
phir bahr-e-jahan mein fikr-e-talatum ya gham-e-tufan kyun kijiye
faizan-e-tasawwur kahiye use mahjur kabhi mahjur nahin
hai shakl jab un ki pesh-e-nazar phir shikwa-e-hijran kyun kijiye
us gul ki bazm-afrozi par us mah pe nichhawar hone ko
jab tare falak se TuT paDen aabaad charaghan kyun kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.