wo tera jamal-e-KHuda-numa jo KHuda KHuda nazar aa gaya

wo tera jamal-e-KHuda-numa jo KHuda KHuda nazar aa gaya
Ali Hussain Ashrafi
MORE BYAli Hussain Ashrafi
vo tirā jamāl-e-ḳhudā-numā jo ḳhudā ḳhudā nazar aa gayā
ba-ḳhudā ḳhudā nazar aa gayā ba-ḳhudā ḳhudā nazar aa gayā
jo fanā ke baa'd baqā huī tirī zaat jalva-numā huī
ye vujūd fānī-e-sar-basar mujhe shakl-e-lā nazar aa gayā
jise ġhair kahte the hai ḳhudā na vujūd us kā kahīñ milā
isī apnī sūrat-o-shakl meñ vo mirā ḳhudā nazar aa gayā
kahūñ kyā ki kaun huuñ kaun maiñ jo kahūñ ki maiñ huuñ na maiñ huuñ maiñ
ye samajh meñ aayā ki tū hai tū jo hijāb-e-vā nazar aa gayā
vahī ek mehr-e-munīr hai vahī aap apnā nazīr hai
vo har ek shakl meñ jalva-gar mujhe ḳhud-numā nazar aa gayā
yahī ahl-e-rāz kī baat hai ki nahīñ sivā.e zuhūr-e-haq
use ḳhud-numā.ī kā shauq thā jo ye mā-sivā nazar aa gayā
jise log kahte the 'ashrafī' use chashm-e-ġhaur se dekh kar
lage kahne ahl-e-nazar yahī ki ye kyā thā kyā nazar aa gayā
wo tera jamal-e-KHuda-numa jo KHuda KHuda nazar aa gaya
ba-KHuda KHuda nazar aa gaya ba-KHuda KHuda nazar aa gaya
jo fana ke ba'd baqa hui teri zat jalwa-numa hui
ye wujud fani-e-sar-basar mujhe shakl-e-la nazar aa gaya
jise ghair kahte the hai KHuda na wujud us ka kahin mila
isi apni surat-o-shakl mein wo mera KHuda nazar aa gaya
kahun kya ki kaun hun kaun main jo kahun ki main hun na main hun main
ye samajh mein aaya ki tu hai tu jo hijab-e-wa nazar aa gaya
wahi ek mehr-e-munir hai wahi aap apna nazir hai
wo har ek shakl mein jalwa-gar mujhe KHud-numa nazar aa gaya
yahi ahl-e-raaz ki baat hai ki nahin siwae zuhur-e-haq
use KHud-numai ka shauq tha jo ye ma-siwa nazar aa gaya
jise log kahte the 'ashrafi' use chashm-e-ghaur se dekh kar
lage kahne ahl-e-nazar yahi ki ye kya tha kya nazar aa gaya
- Book : Tahaif-e-Ashrafi (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.