gham-e-hijr se zar-o-nazar hun main nahin tumko rawa hai ye jaur-o-sitam

gham-e-hijr se zar-o-nazar hun main nahin tumko rawa hai ye jaur-o-sitam
Ali Hussain Ashrafi
MORE BYAli Hussain Ashrafi
ġham-e-hijr se zār-o-nazār huuñ maiñ nahīñ tum ko ravā hai ye jaur-o-sitam
milo aa ke sanam milo aa ke sanam milo aa ke sanam milo aa ke sanam
isī fikr-o-talāsh meñ 'umr kaTī hameñ daulat-e-vasl na haath lagī
rahe hijr meñ ham rahe hijr meñ ham rahe hijr meñ ham rahe hijr meñ ham
mujhe teġh-e-jafā se jo qatl kiyā to phirāne se laash ke hāsil kyā
ye nayā hai sitam ye nayā hai sitam ye nayā hai sitam ye nayā hai sitam
na guloñ meñ ye bū hai na rañg tirā na to shams-o-qamar ko ye husn milā
tire ruḳh kī qasam tire ruḳh kī qasam tire ruḳh kī qasam tire ruḳh kī qasam
hue kitne parī-rukH-o-māh-jabīñ pe kisī ko baqā na milī na milī
ga.e suue 'adam ga.e suue 'adam ga.e suue 'adam ga.e suue 'adam
jinheñ ulfat-o-’ishq kā rog lagā na firāq meñ zabt kisī se huā
mire khā ke vo sam mire khā ke vo sam mire khā ke vo sam mire khā ke vo sam
abhī tum ko hai pesh tavīl safar kahīñ bāñdho bhī 'ashrafī' uTh ke kamar
rahī raat hai kam rahī raat hai kam rahī raat hai kam rahī raat hai kam
gham-e-hijr se zar-o-nazar hun main nahin tum ko rawa hai ye jaur-o-sitam
milo aa ke sanam milo aa ke sanam milo aa ke sanam milo aa ke sanam
isi fikr-o-talash mein 'umr kaTi hamein daulat-e-wasl na hath lagi
rahe hijr mein hum rahe hijr mein hum rahe hijr mein hum rahe hijr mein hum
mujhe tegh-e-jafa se jo qatl kiya to phirane se lash ke hasil kya
ye naya hai sitam ye naya hai sitam ye naya hai sitam ye naya hai sitam
na gulon mein ye bu hai na rang tera na to shams-o-qamar ko ye husn mila
tere ruKH ki qasam tere ruKH ki qasam tere ruKH ki qasam tere ruKH ki qasam
hue kitne pari-rukH-o-mah-jabin pe kisi ko baqa na mili na mili
gae sue 'adam gae sue 'adam gae sue 'adam gae sue 'adam
jinhen ulfat-o-’ishq ka rog laga na firaq mein zabt kisi se hua
mere kha ke wo sam mere kha ke wo sam mere kha ke wo sam mere kha ke wo sam
abhi tum ko hai pesh tawil safar kahin bandho bhi 'ashrafi' uTh ke kamar
rahi raat hai kam rahi raat hai kam rahi raat hai kam rahi raat hai kam
- Book : Tahaif-e-Ashrafi (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.