tum masiha ho mare dard ka darman kar do
tum masīhā ho mare dard kā darmāñ kar do
bār-e-ḳhātir na agar ho to ye ehsāñ kar do
hijr kī raat kī ik ek ghaḌī bhārī hai
ho sake tum se to mushkil marī āsāñ kar do
dekhne vāloñ ko hai taab nazar kā da.avā
apne jalvoñ ko zarā aur numāyāñ kar do
ġhuncha-o-gul kā bhī rañg hai muhtāj faroġh
dosto kHūn-e-jigar nazr-e-gulistāñ kar do
baḌhtā jaatā hai shab-e-ġham kī siyāhī kā asar
mere māhaul ke zindāñ ko daraḳhshāñ kar do
mujh se to ho na sakā chāra-e-talkHī-e-hayāt
ho jo tum se to ilaaj ġham-e-daurāñ kar do
tum masiha ho mare dard ka darman kar do
bar-e-KHatir na agar ho to ye ehsan kar do
hijr ki raat ki ek ek ghaDi bhaari hai
ho sake tum se to mushkil mari aasan kar do
dekhne walon ko hai tab nazar ka dawa
apne jalwon ko zara aur numayan kar do
ghuncha-o-gul ka bhi rang hai muhtaj farogh
dosto kHun-e-jigar nazr-e-gulistan kar do
baDhta jata hai shab-e-gham ki siyahi ka asar
mere mahaul ke zindan ko daraKHshan kar do
mujh se to ho na saka chaara-e-talkHi-e-hayat
ho jo tum se to ilaj gham-e-dauran kar do
- Book : Sho.raa-E-Samastipur (Pg. 40)
- Author : Bismil Aarfii-Asfaq Qalq
- Publication : New Print Center (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.