kabhi puchhunga main umr-e-rawan se
kabhī pūchhūñgā maiñ umr-e-ravāñ se
kahāñ jā.egī aa.ī hai kahāñ se
mirī faryād hai tujh se ilāhī
ki aajiz aa gayā jaur-e-butāñ se
koī bīmār-e-ulfat chal basā hai
vo aate hī rahe apne makāñ se
qafas mujh ko muqaddar ne dikhāyā
bahut māyūs thā maiñ bostāñ se
mohabbat kā asar ham ne ye dekhā
nazar aate haiñ vo ab mehrbāñ se
qafas meñ ho ga.ī taskīn dil ko
havā-e-gul jab aa.ī bostāñ se
tire jaur-o-sitam bhī ai sitam-gar
tajāvuz kar ga.e ab āsmāñ se
kaho 'biryāñ' na tum ġham kī kahānī
vo ghabrāte haiñ aisī dāstāñ se
kabhi puchhunga main umr-e-rawan se
kahan jaegi aai hai kahan se
meri faryaad hai tujh se ilahi
ki aajiz aa gaya jaur-e-butan se
koi bimar-e-ulfat chal basa hai
wo aate hi rahe apne makan se
qafas mujh ko muqaddar ne dikhaya
bahut mayus tha main bostan se
mohabbat ka asar hum ne ye dekha
nazar aate hain wo ab mehrban se
qafas mein ho gai taskin dil ko
hawa-e-gul jab aai bostan se
tere jaur-o-sitam bhi ai sitam-gar
tajawuz kar gae ab aasman se
kaho 'biryan' na tum gham ki kahani
wo ghabraate hain aisi dastan se
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 46)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.