miTa na usko bas ai pa-e-naz rahne de
miTā na us ko bas ai pā-e-nāz rahne de
nishān-e-qabr kā kuchh imtiyāz rahne de
dil-e-girafta ko hasrat nahīñ rihā.ī kī
asiir halqa-e-zulf-e-drāz rahne de
havā kī shakl chal ai dil kisī ke kūcha meñ
bas ab ḳhayāl-e-nasheb-o-frāz rahne de
marīz-e-hijr kā tujh se ilaaj kyā hogā
ye jis tarah hai use chārasāz rahne de
jahān-e-ishq meñ shohrat na us kī ho 'biryāñ'
junūñ jo raaz mohabbat ko raaz rahne de
miTa na us ko bas ai pa-e-naz rahne de
nishan-e-qabr ka kuchh imtiyaz rahne de
dil-e-girafta ko hasrat nahin rihai ki
asir halqa-e-zulf-e-draaz rahne de
hawa ki shakl chal ai dil kisi ke kucha mein
bas ab KHayal-e-nasheb-o-fraaz rahne de
mariz-e-hijr ka tujh se ilaj kya hoga
ye jis tarah hai use chaarasaz rahne de
jahan-e-ishq mein shohrat na us ki ho 'biryan'
junun jo raaz mohabbat ko raaz rahne de
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 47)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.