mai-kada par dekh kar kali ghaTa chhai hui
mai-kada par dekh kar kaalī ghaTā chhā.ī huī
merī tauba bāda-noshī kī tamannā.ī huī
jalva-e-husn haqīqat kī tamāshā.ī huī
ḳhud tabī.at merī hī mujh par hai ab aa.ī huī
mere saaqī sāġhar-e-dil ko talab us may kī hai
ashk kī sūrat jo āñkhoñ se ho Tapkā.ī huī
kyā mujhe bāġh-e-mohabbat meñ ho umīd-e-samar
ek hai shāḳh-e-tamannā vo bhī murjhā.ī huī
kar diyā nā-āshnā-e-har-do-ālm ishq meñ
ai junūñ jab se tirī mujh se shanāsā.ī huī
hukm de baiThe vo zabt-e-nāla-o-faryād kā
ruuh qālib meñ mare phirtī hai ghabrā.ī huī
husn-o-sūrat kā asar kahte haiñ ai 'biryāñ' use
ik ḳhudā.ī ek kāfir kī tamāshā.ī huī
mai-kada par dekh kar kali ghaTa chhai hui
meri tauba baada-noshi ki tamannai hui
jalwa-e-husn haqiqat ki tamashai hui
KHud tabiat meri hi mujh par hai ab aai hui
mere saqi saghar-e-dil ko talab us may ki hai
ashk ki surat jo aankhon se ho Tapkai hui
kya mujhe bagh-e-mohabbat mein ho umid-e-samar
ek hai shaKH-e-tamanna wo bhi murjhai hui
kar diya na-ashna-e-har-do-alm ishq mein
ai junun jab se teri mujh se shanasai hui
hukm de baiThe wo zabt-e-nala-o-faryaad ka
ruh qalib mein mare phirti hai ghabrai hui
husn-o-surat ka asar kahte hain ai 'biryan' use
ek KHudai ek kafir ki tamashai hui
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 47)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.