qafila arman-o-hasrat ka hamare dil mein hai
qāfila armān-o-hasrat kā hamāre dil meñ hai
jab se is manzil meñ aayā hai isī manzil meñ hai
aarzū vo hogī puurī jo dil-e-bismil meñ hai
āstīneñ chaḌh chukīñ ḳhanjar kaf-e-qātil meñ hai
ho gayā zaa.il asar kyā inqalāb-e-ishq kā
aarzū jo dil meñ mere thī vo ab tak dil meñ hai
jaan par ab hai nazar pahle thī dil par hī nigāh
pahle dil mushkil meñ thā ab jaan bhī mushkil meñ hai
jo charāġh-e-ka.aba-o-but-ḳhāna se kuchh kam nahīñ
vo munavvar dāġh-e-ulfat kā hamāre dil meñ hai
dam kabhī uljhe hujūm-e-ġham se ye mumkin nahīñ
ai ḳhayāl-e-yār jab tak tū hamāre dil meñ hai
dekh le qātil nigāh-e-nāz se phir is taraf
ik zarā sā dam abhī baaqī tan-e-bismil meñ hai
aap agar us ko nikāleñ to ināyat aap kī
aarzū machlī huī baiThī hamāre dil meñ hai
saaf bātin ham se baḌh kar koī ai ‘biryāñ’ nahīñ
vo zabāñ se bhī nikaltā hai jo apne dil meñ hai
qafila arman-o-hasrat ka hamare dil mein hai
jab se is manzil mein aaya hai isi manzil mein hai
aarzu wo hogi puri jo dil-e-bismil mein hai
aastinen chaDh chukin KHanjar kaf-e-qatil mein hai
ho gaya zail asar kya inqalab-e-ishq ka
aarzu jo dil mein mere thi wo ab tak dil mein hai
jaan par ab hai nazar pahle thi dil par hi nigah
pahle dil mushkil mein tha ab jaan bhi mushkil mein hai
jo charagh-e-kaba-o-but-KHana se kuchh kam nahin
wo munawwar dagh-e-ulfat ka hamare dil mein hai
dam kabhi uljhe hujum-e-gham se ye mumkin nahin
ai KHayal-e-yar jab tak tu hamare dil mein hai
dekh le qatil nigah-e-naz se phir is taraf
ek zara sa dam abhi baqi tan-e-bismil mein hai
aap agar us ko nikalen to inayat aap ki
aarzu machli hui baiThi hamare dil mein hai
saf baatin hum se baDh kar koi ai ‘biryan’ nahin
wo zaban se bhi nikalta hai jo apne dil mein hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 48)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.