ghaur se mera junun-e-fitna-saman dekhiye
ġhaur se merā junūn-e-fitna-sāmāñ dekhiye
dūsrā bhī ik garebāñ meñ garebāñ dekhiye
maut bhī aatī nahii. vo shoḳh bhī miltā nahīñ
apnī mushkil kis tarah hotī hai āsāñ dekhiye
is qadr mashq-e-tasavvur kī zarūrat hai hameñ
har ghaḌī dil meñ kisī kā rū-e-tābāñ dekhiye
khīñch kar laa.ī adam se mujh ko duniyā kī taraf
ab kahāñ le jaaye ye umr-e-gurezāñ dekhiye
chashm-poshī tālib-e-dīdār se achchhī nahīñ
dil meñ rah jā.egā ghuT ke dil kā armāñ dekhiye
dast-e-vahshat ne kiyā donoñ ko kaisā tār-tār
merā dāman dekhiye merā garebāñ dekhiye
dekhte haiñ aap kyā ḳhush ho ke phūloñ kī bahār
dekhnā hai to hamāre zaḳhm-e-ḳhandāñ dekhiye
mil ga.e sab ḳhaak meñ ik roz ham bhī hoñge ḳhaak
is nazar se jānib-e-shahar-e-kHmoshāñ dekhiye
dil ko ḳhākistar karegā zabt-e-āh-e-ātishīñ
baaz us se aa.iye anjām 'biryāñ' dekhiye
ghaur se mera junun-e-fitna-saman dekhiye
dusra bhi ek gareban mein gareban dekhiye
maut bhi aati nahi wo shoKH bhi milta nahin
apni mushkil kis tarah hoti hai aasan dekhiye
is qadr mashq-e-tasawwur ki zarurat hai hamein
har ghaDi dil mein kisi ka ru-e-taban dekhiye
khinch kar lai adam se mujh ko duniya ki taraf
ab kahan le jaye ye umr-e-gurezan dekhiye
chashm-poshi talib-e-didar se achchhi nahin
dil mein rah jaega ghuT ke dil ka arman dekhiye
dast-e-wahshat ne kiya donon ko kaisa tar-tar
mera daman dekhiye mera gareban dekhiye
dekhte hain aap kya KHush ho ke phulon ki bahaar
dekhna hai to hamare zaKHm-e-KHandan dekhiye
mil gae sab KHak mein ek roz hum bhi honge KHak
is nazar se jaanib-e-shahar-e-kHmoshan dekhiye
dil ko KHakistar karega zabt-e-ah-e-atishin
baz us se aaiye anjam 'biryan' dekhiye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 48)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.