mujhe phir ek sitam-gar se mohabbat hoti jati hai
mujhe phir ik sitam-gar se mohabbat hotī jaatī hai
ilāhī din-ba-din kaisī tabī.at hotī jaatī hai
jafā.eñ ḳhatm ho jā.eñgī jab un kī to kyā hogā
ki mujh ko ranj-o-ġham sahne kī 'ādat hotī jaatī hai
utar kar rah ga.ī haiñ jab se nazreñ un kī siine meñ
mere zaḳhmoñ ko tīroñ se mohabbat hotī jaatī hai
vo buniyādeñ gulistānoñ kī rakh sakte haiñ paanī par
unheñ rote meñ hañs dene kī 'ādat hotī jaatī hai
mujhe 'altāf' rusvā kar diyā sahbā-parastī ne
javānī bhī mirī vaqf-e-musībat hotī jaatī hai
mujhe phir ek sitam-gar se mohabbat hoti jati hai
ilahi din-ba-din kaisi tabiat hoti jati hai
jafaen KHatm ho jaengi jab un ki to kya hoga
ki mujh ko ranj-o-gham sahne ki 'adat hoti jati hai
utar kar rah gai hain jab se nazren un ki sine mein
mere zaKHmon ko tiron se mohabbat hoti jati hai
wo buniyaaden gulistanon ki rakh sakte hain pani par
unhen rote mein hans dene ki 'adat hoti jati hai
mujhe 'altaf' ruswa kar diya sahba-parasti ne
jawani bhi meri waqf-e-musibat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.