zara ru-e-taban se parda haTa den
zarā rū-e-tābāñ se parda haTā deñ
mere ḳhirman-e-dil pe bijlī girā deñ
nigāhoñ ke mai-ḳhāne se kuchh pilā deñ
nahīñ to ghaTāoñ ko pīchhe haTā deñ
’urūs-e-bahār aa rahī hai chaman meñ
qafas ko lahū ro ke rañgīñ banā deñ
na jaane vo kis raah se ho ke guzrīñ
dayār-e-mohabbat meñ sajde bichhā deñ
vo 'altāf' ghar meñ hamāre jo aa.eñ
ḳhudā kī qasam ghar ko jannat banā deñ
zara ru-e-taban se parda haTa den
mere KHirman-e-dil pe bijli gira den
nigahon ke mai-KHane se kuchh pila den
nahin to ghaTaon ko pichhe haTa den
’urus-e-bahaar aa rahi hai chaman mein
qafas ko lahu ro ke rangin bana den
na jaane wo kis rah se ho ke guzrin
dayar-e-mohabbat mein sajde bichha den
wo 'altaf' ghar mein hamare jo aaen
KHuda ki qasam ghar ko jannat bana den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.