murid-e-dair-o-haram kam se kam ye kaam karen
murīd-e-dair-o-haram kam se kam ye kaam kareñ
hadīs-e-dard-e-mohabbat kā zauq aam kareñ
yahī hai minnat-e-ādam yahī muqaddar hai
ġhamoñ kī dhuup meñ rāhat kā ehtimām kareñ
abhī na deñ hameñ ilzām be-vafā.ī kā
ḳhud apne va.adoñ kā kahiye vo ehtirām kareñ
jo tishna kaam tire mai-kade meñ hoñ saaqī
mire lahū se vo labrez apne jaam kareñ
abhī na jaib na dāman na āstīñ kā patā
yaqīn mausam-e-gul ho to ehtimām kareñ
inhīñ ke lab pe hai amn-o-amāñ kā afsāna
vahī jo hazrat-e-insāñ kā qatl-e-ām kareñ
gumāñ se ahd-e-yaqīñ tak sukūñ kī ho duniyā
ḳhushī ke saath jo ġham kā bhī ehtirām kareñ
mazāq ahl-e-gulistāñ jo saath de jaa.e
qafas-nasīboñ kī yādoñ kā ehtirām kareñ
ye daur-e-hashr nahii. hai to aur kyā hai 'amīn'
kise pukāreñ yahāñ kis ko ham-kalām kareñ
murid-e-dair-o-haram kam se kam ye kaam karen
hadis-e-dard-e-mohabbat ka zauq aam karen
yahi hai minnat-e-adam yahi muqaddar hai
ghamon ki dhup mein rahat ka ehtimam karen
abhi na den hamein ilzam be-wafai ka
KHud apne wadon ka kahiye wo ehtiram karen
jo tishna kaam tere mai-kade mein hon saqi
mere lahu se wo labrez apne jam karen
abhi na jaib na daman na aastin ka pata
yaqin mausam-e-gul ho to ehtimam karen
inhin ke lab pe hai amn-o-aman ka afsana
wahi jo hazrat-e-insan ka qatl-e-am karen
guman se ahd-e-yaqin tak sukun ki ho duniya
KHushi ke sath jo gham ka bhi ehtiram karen
mazaq ahl-e-gulistan jo sath de jae
qafas-nasibon ki yaadon ka ehtiram karen
ye daur-e-hashr nahi hai to aur kya hai 'amin'
kise pukaren yahan kis ko ham-kalam karen
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 62)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.