Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jise na hosh ho apna na gham ko gham jaane

Ameen Salonvi

jise na hosh ho apna na gham ko gham jaane

Ameen Salonvi

jise na hosh ho apnā na ġham ko ġham jaane

use sunāte haiñ nā-haq ḳhushī ke afsāne

matā-e-hosh bhī jab luT chukī mohabbat meñ

mire rafīq ab aa.e haiñ mujh ko samjhāne

hamīñ ne raushnī thī añdherī rāhoñ meñ

ye aur baat hai duniyā hameñ na pahchāne

ġhalat hai sham.a pe ilzām nā-sipāsī

ḳhud apnī aag meñ jalte haiñ aap parvāne

bharī bahār meñ jo kuchh guzar ga.ī mujh par

udaas ġhunche sunā.eñge ab vo afsāne

banām aman hai chehroñ par maslahat naqāb

ki dushmanoñ ko bhī apne na koī pahchāne

kabhī kabhī to vo a.alam 'amīn' guzrā hai

ki mere jānñe vaale mujhe na pahchāne

jise na hosh ho apna na gham ko gham jaane

use sunate hain na-haq KHushi ke afsane

mata-e-hosh bhi jab luT chuki mohabbat mein

mere rafiq ab aae hain mujh ko samjhane

hamin ne raushni ki thi andheri rahon mein

ye aur baat hai duniya hamein na pahchane

ghalat hai shama pe ilzam na-sipasi ka

KHud apni aag mein jalte hain aap parwane

bhari bahaar mein jo kuchh guzar gai mujh par

udas ghunche sunaenge ab wo afsane

banam aman hai chehron par maslahat ki naqab

ki dushmanon ko bhi apne na koi pahchane

kabhi kabhi to wo aalam 'amin' guzra hai

ki mere jaanne wale mujhe na pahchane

Source :
  • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 64)
  • Author : Irfan Abbasi
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now