jahan par ishq hai wahan aql ko jaana nahin aata
jahāñ par 'ishq hai vahāñ 'aql ko jaanā nahīñ aatā
ye vo jā hai jahāñ se lauT kar aanā nahīñ aatā
use us rahmat-e-bārī kā bahlānā nahīñ aatā
jise ki naġhma-e-tauhīd kā gaanā nahīñ aatā
maqām-e-manzil-e-maqsūd koī pā nahīñ saktā
ki jis ko apnī hastī se guzar jaanā nahīñ aatā
ye vo kūcha hai jis meñ 'aql vaale luT ga.e lākhoñ
ulajhnā us meñ aisā hai ki suljhāna nahīñ aatā
vo kyā jaane namāz-e-'ishq kyā hai kis tarah hogī
tere naqsh-e-qadam pe jis ko jhuk jaanā nahīñ aatā
chaḌhā.egā vo kaise bāda-e-'irfāñ ke paimāne
jise ik jaam pī kar hosh meñ aanā nahīñ aatā
'amīr'-e-sābarī us kā sañvarnā ġhair mumkin hai
jise rāh-e-mohabbat meñ bigaḌ jaanā nahīñ aatā
jahan par 'ishq hai wahan 'aql ko jaana nahin aata
ye wo ja hai jahan se lauT kar aana nahin aata
use us rahmat-e-bari ka bahlana nahin aata
jise ki naghma-e-tauhid ka gana nahin aata
maqam-e-manzil-e-maqsud koi pa nahin sakta
ki jis ko apni hasti se guzar jaana nahin aata
ye wo kucha hai jis mein 'aql wale luT gae lakhon
ulajhna us mein aisa hai ki suljhana nahin aata
wo kya jaane namaz-e-'ishq kya hai kis tarah hogi
tere naqsh-e-qadam pe jis ko jhuk jaana nahin aata
chaDhaega wo kaise baada-e-'irfan ke paimane
jise ek jam pi kar hosh mein aana nahin aata
'amir'-e-sabari us ka sanwarna ghair mumkin hai
jise rah-e-mohabbat mein bigaD jaana nahin aata
- Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.