saqi ke aastan pe aaj rakh ke sar-e-niyaz dekh
saaqī ke āstāñ pe aaj rakh ke sar-e-niyāz dekh
āñkhoñ kā āñkheñ Daal gar jalva-e-be-niyāz dekh
dā'va-e-'ishq hai agar miT jā talāsh-e-yār meñ
chashm-e-haqīqat āshnā miTte haiñ jo hai raaz dekh
sadqa-e-nigāh-e-nāz kā bhiik hameñ bhī ho 'atā
kiije karam karam-navāz dast-e-talab-o-rāz dekh
dar pe tere lagā huā mastoñ kā aaj jamghaTā
sāqī-e-be-niyāz dekh sāqī-e-dil-navāz dekh
kaun hai aaj pī rahā aur pilā rahā hai kaun
’ālam-e-be-ḳhudī hai yuuñ kis ko hai imtiyāz dekh
parde tasavvurāt ke uThte hī un kī bazm meñ
hosh-o-havās-o-jān-o-dil kar diye vaqf-e-nāz dekh
merī 'amīr'-e-sābarī sadqe huī hai kā.ināt
aaj harīm-e-nāz meñ sābir piyā ke naaz dekh
saqi ke aastan pe aaj rakh ke sar-e-niyaz dekh
aankhon ka aankhen Dal gar jalwa-e-be-niyaz dekh
da'wa-e-'ishq hai agar miT ja talash-e-yar mein
chashm-e-haqiqat aashna miTte hain jo hai raaz dekh
sadqa-e-nigah-e-naz ka bhik hamein bhi ho 'ata
kije karam karam-nawaz dast-e-talab-o-raaz dekh
dar pe tere laga hua maston ka aaj jamghaTa
saqi-e-be-niyaz dekh saqi-e-dil-nawaz dekh
kaun hai aaj pi raha aur pila raha hai kaun
’alam-e-be-KHudi hai yun kis ko hai imtiyaz dekh
parde tasawwuraat ke uThte hi un ki bazm mein
hosh-o-hawas-o-jaan-o-dil kar diye waqf-e-naz dekh
meri 'amir'-e-sabari sadqe hui hai kainat
aaj harim-e-naz mein sabir piya ke naz dekh
- Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.