KHat jo nikla bosa-e-rukHsar aasan ho gaya
ḳhat jo niklā bosa-e-rukHsār āsāñ ho gayā
kārvāñ aane se nirḳh-e-husn arzāñ ho gayā
kyā hamāre gor par hai ehtiyāj-e-raushnī
chaar jugnū jab chamak nikle charāġhāñ ho gayā
soz-e-ġham meñ kuchh na pūchho jild-e-tan kā mujh se haal
jal ke ye kāġhaz sharāroñ se charāġhāñ ho gayā
mere chashm-e-tar se ham-chashmī kā rakhtā thā ḳhayāl
pānī-pānī ye huā yā dil ki bārāñ ho gayā
dekh qātil apne dīvāne kā jazb-e-shauq-e-qatl
jab gale se mil gayā ḳhanjar garebāñ ho gayā
o kamāñ-dār is ko kahte haiñ hujūm-e-dard-o-ġham
tañgi-e-dil se simaT kar tīr-e-paikāñ ho gayā
āsiyā-e-chashm lailā ne ye piisā dasht meñ
bakHt-e-majnūñ surma-e-chashm-e-ġhazālāñ ho gayā
bosa-e-gesū pe us ne zab.h kar Daalā mujhe
ek kāfir ke liye ḳhūn-e-musalmāñ ho gayā
thā musalmāñ jab talak mushtāq kāfir thā vo but
ye huā kāfir to vo ziddī musalmāñ ho gayā
nāma-e-a’amāl hai jab tak nahīñ miltā 'amīr'
mere haath aayā ye aur merā garebāñ ho gayā
KHat jo nikla bosa-e-rukHsar aasan ho gaya
karwan aane se nirKH-e-husn arzan ho gaya
kya hamare gor par hai ehtiyaj-e-raushni
chaar jugnu jab chamak nikle charaghan ho gaya
soz-e-gham mein kuchh na puchho jild-e-tan ka mujh se haal
jal ke ye kaghaz shararon se charaghan ho gaya
mere chashm-e-tar se ham-chashmi ka rakhta tha KHayal
pani-pani ye hua ya dil ki baran ho gaya
dekh qatil apne diwane ka jazb-e-shauq-e-qatl
jab gale se mil gaya KHanjar gareban ho gaya
o kaman-dar is ko kahte hain hujum-e-dard-o-gham
tangi-e-dil se simaT kar tir-e-paikan ho gaya
aasiya-e-chashm laila ne ye pisa dasht mein
bakHt-e-majnun surma-e-chashm-e-ghazalan ho gaya
bosa-e-gesu pe us ne zabh kar Dala mujhe
ek kafir ke liye KHun-e-musalman ho gaya
tha musalman jab talak mushtaq kafir tha wo but
ye hua kafir to wo ziddi musalman ho gaya
nama-e-a’amal hai jab tak nahin milta 'amir'
mere hath aaya ye aur mera gareban ho gaya
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 5)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.