amiron ko hai gar amiri pe naz
amīroñ ko hai gar amīrī pe naaz
faqīroñ ko bhī hai faqīrī pe naaz
jo zulf-e-siyah meñ huā hai asiir
vo karatā hai apnī asīrī pe naaz
hukūmat pe nāzāñ the jo is qadar
gayā uḌ sab un kā taġhayyurī pe naaz
ḳhudā ne jise pīr-o-murshid kiyā
nahīñ us ko kuchh apnī piirī pe naaz
mujhe dast-e-bai' apnā kar le 'turāb'
karūñ maiñ tirī dast-gīrī pe naaz
amiron ko hai gar amiri pe naz
faqiron ko bhi hai faqiri pe naz
jo zulf-e-siyah mein hua hai asir
wo karata hai apni asiri pe naz
hukumat pe nazan the jo is qadar
gaya uD sab un ka taghayyuri pe naz
KHuda ne jise pir-o-murshid kiya
nahīñ us ko kuchh apni piri pe naz
mujhe dast-e-bai' apna kar le 'turab'
karun main teri dast-giri pe naz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.