aql ko chhoD ke dil ishq ke maidan mein aa
'aql ko chhoḌ ke dil 'ishq ke maidān meñ aa
dekh le nūr-e-ḳhudā 'ālam-e-irfān meñ aa
garche us nuur kā hai yuuñ to sabhī jā-e-zuhūr
par khulā ḳhuub tarah sūrat-e-insān meñ aa
dekho gulḳhan meñ vahī haigā sharār-e-ātish
jo huā rañg-e-gul-o-guñcha gulistān meñ aa
shakl-e-lailā meñ numāyāñ jo huā thā jalva
vahī majnūñ bhī huā koh-o-bayābān meñ aa
vahī suufī hai ki masjid meñ paḌhe haigā namāz
jaam piitā hai vahī majlis-e-rindān meñ aa
sham.a-rū kaahe ko 'asġhar' se ḳhafā rahtā hai
aa mirī jaan mire dil ke shabistān meñ aa
'aql ko chhoD ke dil 'ishq ke maidan mein aa
dekh le nur-e-KHuda 'alam-e-irfan mein aa
garche us nur ka hai yun to sabhi ja-e-zuhur
par khula KHub tarah surat-e-insan mein aa
dekho gulKHan mein wahi haiga sharar-e-atish
jo hua rang-e-gul-o-guncha gulistan mein aa
shakl-e-laila mein numayan jo hua tha jalwa
wahi majnun bhi hua koh-o-bayaban mein aa
wahi sufi hai ki masjid mein paDhe haiga namaz
jam pita hai wahi majlis-e-rindan mein aa
shama-ru kahe ko 'asghar' se KHafa rahta hai
aa meri jaan mere dil ke shabistan mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.