majaz se jo haqiqat ka humne kaam liya
majāz se jo haqīqat kā ham ne kaam liyā
butoñ kī dekh ke sūrat ḳhudā kā naam liyā
sivā.e ḳhūn-e-jigar ke milī na aur sharāb
misāl-e-lāla ba-kaf jab se ham ne jaam liyā
sanam kī dekh ke mehrāb-e-abrū-e-ḳham-dār
girā thā sajde ko par mujh ko haq ne thaam liyā
qazā ke panje se chhūTā nahīñ koī hargiz
jo sub.h us se bache to ba-vaqt-e-shām liyā
'ajab hai faqr kā 'ālam ki ham ne yaañ 'asġhar'
ḳhudī ko bhuul ga.e jab ḳhudā kā naam liyā
majaz se jo haqiqat ka hum ne kaam liya
buton ki dekh ke surat KHuda ka nam liya
siwae KHun-e-jigar ke mili na aur sharab
misal-e-lala ba-kaf jab se hum ne jam liya
sanam ki dekh ke mehrab-e-abru-e-KHam-dar
gira tha sajde ko par mujh ko haq ne tham liya
qaza ke panje se chhuTa nahin koi hargiz
jo subh us se bache to ba-waqt-e-sham liya
'ajab hai faqr ka 'alam ki hum ne yan 'asghar'
KHudi ko bhul gae jab KHuda ka nam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.