ishq ka KHanjar rag-e-jaan par laga roz-e-azal
'ishq kā ḳhanjar rag-e-jāñ par lagā roz-e-azal
ek qatra ḳhuun kā us se Tapak kar dil banā
ta'araful-ashiyāu-bil-azdād se sābit huā
zāt-e-haq kī ma.arifat ke vāste bātil banā
aaj jo karatā huuñ maiñ paatā huuñ kal us kī jazā
māziyā afa.āl hī se merā mustaqbil banā
haq ho yā bātil ho in donoñ kā ḳhāliq ek hai
mujh ko hairat hai ki haq se kis tarah bātil banā
mil hī jā.egā koī hamdard āḳhir ek din
pahle 'amjad' apne dil ko dard ke qābil banā
'ishq ka KHanjar rag-e-jaan par laga roz-e-azal
ek qatra KHun ka us se Tapak kar dil bana
ta'araful-ashiyau-bil-azdad se sabit hua
zat-e-haq ki marifat ke waste baatil bana
aaj jo karata hun main pata hun kal us ki jaza
maziya afaal hi se mera mustaqbil bana
haq ho ya baatil ho in donon ka KHaliq ek hai
mujh ko hairat hai ki haq se kis tarah baatil bana
mil hi jaega koi hamdard aaKHir ek din
pahle 'amjad' apne dil ko dard ke qabil bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.