KHwab mein un ko ja ke dekh liya
ḳhvāb meñ un ko jā ke dekh liyā
un ko un se chhupā ke dekh liyā
na chhupe merī aañkh se na chhupe
tum ne ḳhud ko chhupā ke dekh liyā
mere dil se kabhī nikal na sake
tum ne dāman chhuḌā ke dekh liyā
tum se milne kī aarzū na ga.ī
ḳhaak meñ bhī milā ke dekh liyā
na rakkhā tum ne ek din bhī qadam
ham ne āñkheñ bichhā ke dekh liyā
na lagā jī kis jagah na lagā
har jagah jī lagā ke dekh liyā
ai ġhazab ġham yahāñ bhī aa pahuñchā
mahal ūñche banā ke dekh liyā
merī dīvāngī kā kyā kahnā
ruḳh se parda haTā ke dekh liyā
hāsil-e-'umr kā pata na chalā
'umr saarī gañvā ke dekh liyā
ḳhaak hāsil huā na ai 'amjad'
har taraf ḳhaak uḌā ke dekh liyā
KHwab mein un ko ja ke dekh liya
un ko un se chhupa ke dekh liya
na chhupe meri aankh se na chhupe
tum ne KHud ko chhupa ke dekh liya
mere dil se kabhi nikal na sake
tum ne daman chhuDa ke dekh liya
tum se milne ki aarzu na gai
KHak mein bhi mila ke dekh liya
na rakkha tum ne ek din bhi qadam
hum ne aankhen bichha ke dekh liya
na laga ji kis jagah na laga
har jagah ji laga ke dekh liya
ai ghazab gham yahan bhi aa pahuncha
mahal unche bana ke dekh liya
meri diwangi ka kya kahna
ruKH se parda haTa ke dekh liya
hasil-e-'umr ka pata na chala
'umr sari ganwa ke dekh liya
KHak hasil hua na ai 'amjad'
har taraf KHak uDa ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.