yun to kya kya nazar nahin aata
yuuñ to kyā kyā nazar nahīñ aatā
koī tum sā nazar nahīñ aatā
DhūñDtī haiñ jise mirī āñkheñ
vo tamāshā nazar nahīñ aatā
ho chalī ḳhatm intizār meñ 'umr
koī aatā nazar nahīñ aatā
jholiyāñ sab kī bhartī jaatī haiñ
dene vaalā nazar nahīñ aatā
jo nazar aate haiñ nahīñ apne
jo hai apnā nazar nahīñ aatā
dekh letā huuñ sūrat ā.īna meñ
daaġh dil kā nazar nahīñ aatā
apnī āñkhoñ se us ko dekhūñgā
mujhe aisā nazar nahīñ aatā
zer-e-sāya huuñ us ke maiñ 'amjad'
jis kā saaya nazar nahīñ aatā
yun to kya kya nazar nahin aata
koi tum sa nazar nahin aata
DhunDti hain jise meri aankhen
wo tamasha nazar nahin aata
ho chali KHatm intizar mein 'umr
koi aata nazar nahin aata
jholiyan sab ki bharti jati hain
dene wala nazar nahin aata
jo nazar aate hain nahin apne
jo hai apna nazar nahin aata
dekh leta hun surat aaina mein
dagh dil ka nazar nahin aata
apni aankhon se us ko dekhunga
mujhe aisa nazar nahin aata
zer-e-saya hun us ke main 'amjad'
jis ka saya nazar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.