is jahan mein bila-shuba hun main
is jahāñ meñ bilā-shuba huuñ maiñ
is jahāñ se magar judā huuñ meñ
aap bhī jaan leñ ki kyā huuñ maiñ
jaltā bujhtā huā diyā huuñ maiñ
ḳhāmiyāñ mujh meñ bhī hazāroñ haiñ
kab kahā maiñ ne pārsā huuñ maiñ
aap ne jo kahā haqīqat hai
'ishq meñ mubtalā huā huuñ maiñ
hal nikālā nahīñ gayā jis kā
hairat-añgez mas.ala huuñ maiñ
mujh se ummīd kyā kare koī
ek bujhtā huā diyā huuñ maiñ
is jahan mein bila-shuba hun main
is jahan se magar juda hun mein
aap bhi jaan len ki kya hun main
jalta bujhta hua diya hun main
KHamiyan mujh mein bhi hazaron hain
kab kaha main ne parsa hun main
aap ne jo kaha haqiqat hai
'ishq mein mubtala hua hun main
hal nikala nahin gaya jis ka
hairat-angez masala hun main
mujh se ummid kya kare koi
ek bujhta hua diya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.