kyun tumhaari nazar be-wafa ho gai
kyuuñ tumhārī nazar be-vafā ho ga.ī
kuchh sabab to kaho kyuuñ ḳhafā ho ga.ī
do ghaḌī ke liye tum judā kyā hue
zindagī jaise koī sazā ho ga.ī
tum ne dekhā mujhe muskurā kar zarā
ye nazar mere ġham kī davā ho ga.ī
kyā karūñ aag sāvan lagāne lagā
us pe qātil tumhārī adā ho ga.ī
duur jaane kī kyuuñ baat karte ho tum
sach kaho mujh se kyā kuchh ḳhatā ho ga.ī
jaan jaane lagī ab to aa jā.iye
sabr kī ab mere intihā ho ga.ī
unko iz.hār apnā banā lūñgā maiñ
āḳhirī mere dil kī ye duā ho ga.ī
kyun tumhaari nazar be-wafa ho gai
kuchh sabab to kaho kyun KHafa ho gai
do ghaDi ke liye tum juda kya hue
zindagi jaise koi saza ho gai
tum ne dekha mujhe muskura kar zara
ye nazar mere gham ki dawa ho gai
kya karun aag sawan lagane laga
us pe qatil tumhaari ada ho gai
dur jaane ki kyun baat karte ho tum
sach kaho mujh se kya kuchh KHata ho gai
jaan jaane lagi ab to aa jaiye
sabr ki ab mere intiha ho gai
unko izhaar apna bana lunga main
aaKHiri mere dil ki ye dua ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.