kasak ek aisi andar pal rahi hai
kasak ik aisī andar pal rahī hai
ki ab ḳhud se laḌā.ī chal rahī hai
banā rakhe haiñ mansūbe kuchh aise
hamārī ḳhud-kushī ab Tal rahī hai
dekhā jab ā.īna maiñ hans paḌā thā
amal par mere duniyā chal rahī hai
nahīñ vo dekhtā bhūle se mujh ko
mujhe ye baat uskī khal rahī hai
hue haiñ baal ab chāñdī ke jaise
yahī ġham hai javānī Dhal rahī hai
diye jalte raheñge uskī lau se
abhī ik sham.a aisī jal rahī hai
hai diqqat har ghaḌī har-har qadam par
magar 'iz.hār' duniyā chal rahī hai
kasak ek aisi andar pal rahi hai
ki ab KHud se laDai chal rahi hai
bana rakhe hain mansube kuchh aise
hamari KHud-kushi ab Tal rahi hai
dekha jab aaina main hans paDa tha
amal par mere duniyā chal rahi hai
nahin wo dekhta bhule se mujh ko
mujhe ye baat uski khal rahi hai
hue hain baal ab chandi ke jaise
yahi gham hai jawani Dhal rahi hai
diye jalte rahenge uski lau se
abhi ek shama aisi jal rahi hai
hai diqqat har ghaDi har-har qadam par
magar 'izhaar' duniya chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.