bichhDa wo is tarah ki dobara nahin mila
bichhḌā vo is tarah ki dobāra nahīñ milā
phir uske jaisā koī sahārā nahīñ milā
shams-o-qamar kī chaah meñ bhaTke tamām umr
anjām ye ki ik bhī sitāra nahīñ milā
nākām hasratoñ meñ guzārī hai zindagī
tā-umr ham ko koī hamārā nahīñ milā
kashtī bhañvar meñ hamne ḳhud hī Duboī hai
kaise kaheñ ki ham ko koī kināra nahīñ milā
shiddat meñ ġham ke pī ke bahkā nahīñ kabhī
saaqī kī samt se bhī ishāra nahīñ milā
khul hī gayā ye raaz ai 'iz.hār' dekhiye
kyuuñ zindagī meñ koī bhī pyārā nahīñ milā
bichhDa wo is tarah ki dobara nahin mila
phir uske jaisa koi sahaara nahin mila
shams-o-qamar ki chah mein bhaTke tamam umr
anjam ye ki ek bhi sitara nahin mila
nakaam hasraton mein guzari hai zindagi
ta-umr hum ko koi hamara nahin mila
kashti bhanwar mein hamne KHud hi Duboi hai
kaise kahen ki hum ko koi kinara nahin mila
shiddat mein gham ke pi ke bahka nahin kabhi
saqi ki samt se bhi ishaara nahin mila
khul hi gaya ye raaz ai 'izhaar' dekhiye
kyun zindagi mein koi bhi pyara nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.