dil apna jab us par haar diya maine
dil apnā jab us par haar diyā maiñ ne
ḳhat usko tab pahlī baar diyā maiñ ne
unko merī qadr nahīñ aur un ke liye
jiite jī hī ḳhud ko maar diyā maiñ ne
DhūñDh rahā huuñ jinko shohrat kī ḳhātir
chalte-chalte raah meñ haar diyā maiñ ne
uske hoñThoñ par muskān sajāne ko
jaane kyā-kyā us par vaar diyā maiñ ne
naam tumhārā lekar bhaTkā sahrā meñ
bolo kisko itnā pyaar diyā maiñ ne
mere sivā bhī chāheñge kuchh log tumheñ
bhūloge kaise jo ḳhumār diyā maiñ ne
uske ishq meñ pāgal ho kar ai 'iz.hār'
jaan na jaane kyuuñ be-kār diyā maiñ ne
dil apna jab us par haar diya main ne
KHat usko tab pahli bar diya main ne
unko meri qadr nahin aur un ke liye
jite ji hi KHud ko mar diya main ne
DhunDh raha hun jinko shohrat ki KHatir
chalte-chalte rah mein haar diya main ne
uske honThon par muskan sajaane ko
jaane kya-kya us par war diya main ne
nam tumhaara lekar bhaTka sahra mein
bolo kisko itna pyar diya main ne
mere siwa bhi chahenge kuchh log tumhein
bhuloge kaise jo KHumar diya main ne
uske ishq mein pagal ho kar ai 'izhaar'
jaan na jaane kyun be-kar diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.