hoga karam jo is dil-e-bimar par tera
hogā karam jo is dil-e-bīmār par tirā
likh dūñgā naam maiñ dar-o-dīvār par tirā
mujh be-qusūr ko tabhī denā koī sazā
ho saḳht faisla jo gunahgār par tirā
ye phuul isliye maiñ bichhātā huuñ raah meñ
bhūle se bhī na pair paḌe ḳhaar par tirā
sāhil mujhe nasīb bhalā hogā kis liye
kashtī pe haq tirā hai to mañjhdār par mirā
har ik varaq pe terī hī tārīf kyuuñ na ho
qabza ḳhabar pe hai tirā aḳhbār par tirā
tuune mujhe jo apnā kahā hai mere sanam
jaadū sā ho gayā dil-e-‘izhār’ par tirā
hoga karam jo is dil-e-bimar par tera
likh dunga nam main dar-o-diwar par tera
mujh be-qusur ko tabhi dena koi saza
ho saKHt faisla jo gunahgar par tera
ye phul isliye main bichhata hun rah mein
bhule se bhi na pair paDe KHar par tera
sahil mujhe nasib bhala hoga kis liye
kashti pe haq tera hai to manjhdar par mera
har ek waraq pe teri hi tarif kyun na ho
qabza KHabar pe hai tera aKHbar par tera
tune mujhe jo apna kaha hai mere sanam
jadu sa ho gaya dil-e-‘izhaar’ par tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.