pit mein kali kamli wale haalat hai ye birhan ki
piit meñ kaalī kamlī vaale hālat hai ye birhan kī
rain añdherī vyākul man hai niiñd sidhārī nainan kī
terī dayā se dīn-diyālū muktī hogī pāpan kī
apne paap kī kaalī rekhā chhab dhāre hai nāgin kī
bojh nahīñ hai man ko dhan kā aas nahīñ hai jīvan kī
ruup pe tere tan-man vārūñ pyāsī huuñ maiñ darshan kī
donoñ kā ho gyaan barābar shaktī kab hai pāpan kī
har kī bāteñ sājan jaane har jaane hai sājan kī
aayā sandesa jab birhan ko pī kī nagariyā aane kā
saarī dishā thī badlī-badlī man kī ghar kī āñgan kī
man kā haal na pūchh sakhī rī jal bin jaise machhlī ho
nain se ab to laagī jhaḌī hai sāñjh savere sāvan kī
niil gagan ke sundar taare dhartī ke ye komal phuul
donoñ jag meñ liilā hai ye tere hī shubh charnan kī
ban ke jogan ab ai sajnī des piyā ke jā.ūñgī
kaayā maaTī kar dūñgī maiñ pā kar chaukhaT sājan kī
pit mein kali kamli wale haalat hai ye birhan ki
rain andheri wyakul man hai nind sidhaari nainan ki
teri daya se din-diyalu mukti hogi papan ki
apne pap ki kali rekha chhab dhaare hai nagin ki
bojh nahin hai man ko dhan ka aas nahin hai jiwan ki
rup pe tere tan-man warun pyasi hun main darshan ki
donon ka ho gyan barabar shakti kab hai papan ki
har ki baaten sajan jaane har jaane hai sajan ki
aaya sandesa jab birhan ko pi ki nagariya aane ka
sari disha thi badli-badli man ki ghar ki aangan ki
man ka haal na puchh sakhi ri jal bin jaise machhli ho
nain se ab to lagi jhaDi hai sanjh sawere sawan ki
nil gagan ke sundar tare dharti ke ye komal phul
donon jag mein lila hai ye tere hi shubh charnan ki
ban ke jogan ab ai sajni des piya ke jaungi
kaya maTi kar dungi main pa kar chaukhaT sajan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.