āankhoñ meñ murawwat tirī ai yar kahāñ hai
āankhoñ meñ murawwat tirī ai yar kahāñ hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
ā.ankhoñ meñ muravvat tirī ai yaar kahāñ hai
pūchhā na kabhū mujh ko vo bīmār kahāñ hai
nau ḳhat to hazāroñ haiñ gulistān-e-jahāñ meñ
hai saaf to yuuñ tujh sā numūdār kahāñ hai
ārām mujhe sāya-e-tūbā meñ nahīñ hai
batlāo ki vo sāya-e-dīvār kahāñ hai
laao to lahū aaj piyūñ duḳhtar-e-raz kā
ai muhtasibo dekho vo murdār kahāñ hai
furqat meñ us abrū kī galā kāTūñgā apnā
myaañ diijo use dam mirī talvār kahāñ hai
jin se ki ho marbūt vahī tum ko hai maimūn
insān kī sohbat tumheñ darkār kahāñ hai
dekhūñ jo tujhe ḳhvāb meñ maiñ ai mah-e-kan.āñ
aisā to mirā tāla-e-bedār kahāñ hai
sunte hī us āvāz kī kuchh ho ga.ī vahshat
dekho to vo zanjīr kī jhankār kahāñ hai
din chhīne vo jab dekhiyo ġhārat-garī us kī
tab sochiyo ḳhurshīd kī dastār kahāñ hai
us din ke huuñ sadqe ki tū khīñche hue talvār
ye pūchhtā aave vo gunahgār kahāñ hai
hañste to ho tum mujh pe va-lekin koī din ko
ro.o.ge ki vo merā giraftār kahāñ hai
ai ġham mujhe yaañ ahl-e-ta.ayyush ne hai gherā
is bhiiḌ meñ tū ai mire ġham-ḳhvār kahāñ hai
jab tak ki vo jhāñke thā idhar mahr se ham to
vāqif hī na the mahr par anvār kahāñ hai
us mah ke sarakte hī ye andher hai 'ehsāñ'
ma.alūm nahīñ raḳhna-e-dīvār kahāñ hai
āankhoñ meñ murawwat tirī ai yar kahāñ hai
pūchhā na kabhū mujh ko wo bīmār kahāñ hai
nau ḳhat to hazāroñ haiñ gulistān-e-jahāñ meñ
hai saf to yuñ tujh sā numūdār kahāñ hai
ārām mujhe sāya-e-tūbā meñ nahīñ hai
batlāo ki wo sāya-e-dīwār kahāñ hai
lao to lahū aaj piyūñ duḳhtar-e-raz kā
ai muhtasibo dekho wo murdār kahāñ hai
furqat meñ us abrū kī galā kāTūñgā apnā
myañ dijo use dam mirī talwār kahāñ hai
jin se ki ho marbūt wahī tum ko hai maimūn
insān kī sohbat tumheñ darkār kahāñ hai
dekhūñ jo tujhe ḳhwāb meñ maiñ ai mah-e-kanāñ
aisā to mirā tāla-e-bedār kahāñ hai
sunte hī us āwāz kī kuchh ho gaī wahshat
dekho to wo zanjīr kī jhankār kahāñ hai
din chhīne wo jab dekhiyo ġhārat-garī us kī
tab sochiyo ḳhurshīd kī dastār kahāñ hai
us din ke huñ sadqe ki tū khīñche hue talwār
ye pūchhtā aawe wo gunahgār kahāñ hai
hañste to ho tum mujh pe wa-lekin koī din ko
rooge ki wo merā giraftār kahāñ hai
ai ġham mujhe yañ ahl-e-tayyush ne hai gherā
is bhiḌ meñ tū ai mere ġham-ḳhwār kahāñ hai
jab tak ki wo jhāñke thā idhar mahr se hum to
wāqif hī na the mahr par anwār kahāñ hai
us mah ke sarakte hī ye andher hai 'ehsāñ'
malūm nahīñ raḳhna-e-dīwār kahāñ hai
- Book : Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.