ye KHat nahin sada-e-dil-e-dard-mand hai
ye ḳhat nahīñ sadā-e-dil-e-dard-mañd hai
ai be-vatan kā pyaar lifāfe meñ band hai
vo kyā karegā le ke do-'ālam kī rāhateñ
jis ko tumhārī yaad meñ ronā pasand hai
saaqī sharāb uñDel ki chhaT jaa.eñ zulmateñ
sūraj kī raushnī tirī botal meñ band hai
tere hī naqsh-e-pā kī badaulat sahī magar
duniyā ke sāmne to mirā sar buland hai
'anvar' ke paas dil bhī hai sajde bhī ashk bhī
ai sāhib-e-jamāl tujhe kyā pasand hai
ye KHat nahin sada-e-dil-e-dard-mand hai
ai be-watan ka pyar lifafe mein band hai
wo kya karega le ke do-'alam ki rahaten
jis ko tumhaari yaad mein rona pasand hai
saqi sharab unDel ki chhaT jaen zulmaten
suraj ki raushni teri botal mein band hai
tere hi naqsh-e-pa ki badaulat sahi magar
duniya ke samne to mera sar buland hai
'anwar' ke pas dil bhi hai sajde bhi ashk bhi
ai sahib-e-jamal tujhe kya pasand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.