ye dil kabe ka kaba hai ye but-KHane ka but-KHana
ye dil ka.abe kā ka.aba hai ye but-ḳhāne kā but-ḳhāna
ise kahte haiñ āshiq jalva-gāh-e-husn jānāna
nazar aatā hai ik a.alam jahāñ ḳhud se begāna
ta.ajjub-ḳhez hai faiz nigāh-e-pīr-e-mai-kHāna
huā karatā hai in rindoñ kā maslak hī judā-gāna
sikhā de jin ko mai-kashī ādāb mai-ḳhāna
koī samjhe zarā dair-o-haram se ho ke begāna
sabaq-āmoz hai kitnā shu.ūr-e-marg parvāna
ye saaqī kā karam hai yā kamāl-e-zarf mai-noshī
simaT aayā hai paimāne meñ mai-ḳhāne kā mai-ḳhāna
haqīqat āshnā-e-kā.ināt-e-rañg-o-bū ham haiñ
baḌī vus.at kā mālik hai hamārā zarf-e-rindāna
are dar-parda chhup kar sāz-e-hastī chheḌne vaale
tujhe saugand ab to sāmne aa be-hijābāna
vo kaifiyat huī hāsil sharāb-e-rūh parvar se
ki mastī meñ ka.e sajde ba-pā-e-pīr-e-mai-kHāna
gumāñ hotā hai har naqsh hasīñ par un kī sūrat kā
tilism-e-rañg-o-bū hai yā faraib-e-husn-e-jānānā
simaT aate haiñ ḳhudī hī manzil-e-jānāñ ke nazāre
guzartā hai jahāñ hadd-e-junūñ se koī dīvāna
ye dil kabe ka kaba hai ye but-KHane ka but-KHana
ise kahte hain aashiq jalwa-gah-e-husn jaanana
nazar aata hai ek aalam jahan KHud se begana
tajjub-KHez hai faiz nigah-e-pir-e-mai-kHana
hua karata hai in rindon ka maslak hi juda-gana
sikha de jin ko mai-kashi aadab mai-KHana
koi samjhe zara dair-o-haram se ho ke begana
sabaq-amoz hai kitna shuur-e-marg parwana
ye saqi ka karam hai ya kamal-e-zarf mai-noshi
simaT aaya hai paimane mein mai-KHane ka mai-KHana
haqiqat aashna-e-kainat-e-rang-o-bu hum hain
baDi wusat ka malik hai hamara zarf-e-rindana
are dar-parda chhup kar saz-e-hasti chheDne wale
tujhe saugand ab to samne aa be-hijabana
wo kaifiyat hui hasil sharab-e-ruh parwar se
ki masti mein kae sajde ba-pa-e-pir-e-mai-kHana
guman hota hai har naqsh hasin par un ki surat ka
tilism-e-rang-o-bu hai ya faraib-e-husn-e-jaanana
simaT aate hain KHudi hi manzil-e-jaanan ke nazare
guzarta hai jahan hadd-e-junun se koi diwana
- Book : Husn-e-Taghazzul (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.