har sans mein KHud apne na hone ka guman tha
har saañs meñ ḳhud apne na hone kā gumāñ thā
vo sāmne aa.e to mujhe hosh kahāñ thā
kartī haiñ ulaT pher yūñhī un kī nigāheñ
kā'ba hai vahīñ aaj sanam-ḳhāna jahāñ thā
taqsīr nazar dekhne vāloñ kī hai varna
un kā koī jalva na 'ayāñ thā na nihāñ thā
badlī jo zarā chashm-e-mashīyat koī dam ko
har samt bapā mahshar-e-fariyād-o-fuġhāñ thā
lapkā hai bagūla-sā abhī un kī taraf ko
shāyad kisī majbūr kī aahoñ kā dhuāñ thā
'anvar' mire kaam aa.ī qiyāmat meñ nadāmat
rahmat kā taqāza mirā har ashk ravāñ thā
har sans mein KHud apne na hone ka guman tha
wo samne aae to mujhe hosh kahan tha
karti hain ulaT pher yunhi un ki nigahen
ka'ba hai wahin aaj sanam-KHana jahan tha
taqsir nazar dekhne walon ki hai warna
un ka koi jalwa na 'ayan tha na nihan tha
badli jo zara chashm-e-mashiyat koi dam ko
har samt bapa mahshar-e-fariyaad-o-fughan tha
lapka hai bagula-sa abhi un ki taraf ko
shayad kisi majbur ki aahon ka dhuan tha
'anwar' mere kaam aai qiyamat mein nadamat
rahmat ka taqaza mera har ashk rawan tha
- Book : Nabz-e-Daora'n (Pg. 63)
- Author : Anwar Sabri
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.