suna jab bagh mein shor-e-anadil
sunā jab baaġh meñ shor-e-'anādil
dhaḌak uThā mirā nā-āshnā dil
nahīñ suntā mirī ab to mirā dil
usī kūche meñ dekho phir chalā dil
kahā karte ho jab tum huuñ maiñ ’ādil
to vāpas kyuuñ nahīñ karte mirā dil
nihāyat kashmakash meñ maiñ paḌā huuñ
ḳhafā vo dil se haiñ mujh se ḳhafā dil
'ajab kūcha hai qātil kā hamāre
paḌe haiñ jā-ba-jā sar jā-ba-jā dil
hasīnoñ kī adā par mar rahā huuñ
ḳhudā ne de diyā hai chulbulā dil
usī dar par paḌe rahte the tum 'arsh'
usī se māñgo apnā chulbulā dil
suna jab bagh mein shor-e-'anadil
dhaDak uTha mera na-ashna dil
nahin sunta meri ab to mera dil
usi kuche mein dekho phir chala dil
kaha karte ho jab tum hun main ’adil
to wapas kyun nahin karte mera dil
nihayat kashmakash mein main paDa hun
KHafa wo dil se hain mujh se KHafa dil
'ajab kucha hai qatil ka hamare
paDe hain ja-ba-ja sar ja-ba-ja dil
hasinon ki ada par mar raha hun
KHuda ne de diya hai chulbula dil
usi dar par paDe rahte the tum 'arsh'
usi se mango apna chulbula dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.